Sunday, May 20, 2007

Kya Din The...

Woh bhi kya din the...
Jab hum sab college ke back bench pe baithe the...

Woh assignments ke papers...
Woh apne class ke toppers...

Sab yaad aata hai...
ek chehre pe muskaan laata hai...

Woh volley ball ke matches...
Woh box cricket aur basket ball ke matches...

Woh Do baje ke baad result lagna...
Woh raat raat bhar night mein jagna....

Tiffin se cheen kar khana...
kisi ka chappati churana...

aaj bhi yaad aata hai...
chehre pe muskaan le aata hai...

Woh bhi kya din the...
Aaj bhi yaad aate hain....

Fanatics pe depend hona....
Answer nahi aaya... toh saamne wale ko poochna...

Aaya...toh bhi poochke confirm karna.....
Chaalis marks ke liye... neech se neech harkat karna....

Woh tees paise ka xerox maarna....
Pachas hazaar ki fees bhari... fir bhi aise maamlon pe kanjoosi karna...

Woh canteen mein assignment chaapna....
Nahi chaap paye..toh kisi ka submit kiya hua dhaapna....

Woh rickshaw mein Paanch rupye dekar share karna...
Usmein bhi Dhinchak rickshaw hi dhhondhna....

Aaj bhi woh din aate hain....
Chehre pe ek muskaan late hain....

Woh bhi kya din the....
Aaj bhi yaad hain mujhe...

Woh Monday ke Workshop ke din....
Kaate hain humne bina kissse ache tool ke bin.....

Woh workshop ki garmi mein filing karna.....
Kahi haat na ghis jaye isse darna

Haat toh zaroor ghis gaye...
par woh lokhand nahi ghissa....

Aaj bhi yaad hai mujhe....
Woh college ke practical wale din...

Woh breadboard pe circuit banana...
Atul ko chodke sabka ladkiyon ko taapna....

woh chemical lab pe chemicals mix karna....
kisne tha jaana.. aaj wohi log vodka aur sprite mix karenge...

Woh CRO tube se khelna...
woh Nemade ki fir daat khaana....

aaj bhi sab yaad aata hai...
chehre pe ek muskaan laata hai...